Sunday, April 1, 2007

Teri Aankheyn

tumhey ho na ho,
mughey toh ab bhi yaad hai
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar
tumse meri aankheyn.
huey ab baras; phir bhi legta,
jise meley ho hum kal perso,
mere dil mein kal ki yaad sa taaja,
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar,

tumse meri aankheyn.
badi haseen leg rehi thi
woh khoi khoi se ; teri aankheyn,
adhuri neend ki kumaar mein dobbi,
teri madhosh gulabhi aankheyn.
mughey toh ab bhi yaad hai
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar
tumse meri aankheyn.

dil pe woh bizli ka gernaa,
jab sharmaa ker jhuki thi; teri aankheyn,
aur ban ker kzaa; phir uthi thi aankheyn,
bina khanzer he dil per,
nashter chlaa gai thi, teer ke teri aankheyn.
mughey toh ab bhi yaad hai
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar
tumse meri aankheyn.

kehta hun such main,
bina kuch booley he; tere dl ka haal
byaan ker gai thi, teri aankheyn,
main toh khadaa tha saahil per,
tere payer ke saagar mein mughko;
dubaa gai; saagar se gahari teri aankheyn.
mughey toh ab bhi yaad hai
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar
tumse meri aankheyn.


--- 26 Mar'05

1 comment:

Anonymous said...

Your blog keeps getting better and better! Your older articles are not as good as newer ones you have a lot more creativity and originality now keep it up!