Sunday, April 1, 2007

Mumkeen Nahi

Mumkeen hain ke main; tum ko bhool jaaon,
jindgi mein tera naam zuban per naa laaon,
kabhi saamne ho tu merey;
aur man kareeb se guzar jaaon.

magar kaise bhool jaaon,
teri zulfon ke saaye;
naa jaane kitne hasen khaawab,
jahan meri nazron ne paaye.

kaise bhool jaaon;
aankheyn teri gheel se gahri,
humaarey pyer ki naawo
umer bhar jis mein tairee.

kasie bhool jaaon,
teri woh muskaan,
aatey he hooton per jiske,
meet jaati thi saari thakaan,
aur aa jaata tha; dil ko mere karaar.

nahi ! ghoot kehtaa tha main,
mumkeen nahi tughko bhool paana,
mera, apni jindgi se
tera nishaan meetana.

such kehta hoon main,
aaj tu nahi; tera ehsaas toh mera hai,
tu batlaa kaise dikhlaaon; mere dil ka zakham abhi gehraa hain.


--- 02 Apr'05

No comments: