Sunday, April 1, 2007

Woh, Ek Din

Jeena chahata hoon,
ek din,
haan, bus ek din,
main uske saath,
chahata hoon jisey,
main sab se jayada,
aur jo chahati hai mughey;
apni jindgi se bhi jayada.

tab,
pehloo mein ek duje ke hum hongey,
aur waqt wahi theraa hoga,
mere haathin mein,
uska roshan cheraa hoga,
ek duje ke itne kareeb hooney,
ke dooreyoon ka koi neshaan na hogaa,
hawa ko bhi; izzazat na hogi.
woh aaye humerey dermeeyan,
takraati uski saanson se meri saansey hongi,
woh jis dum mere aagosh mein hogi,
lufzoyn ka tab wahan kaam na hoga,
her zazbaat; bus aankhoyn se bayaan hoga

jaanta hoon main,
hosh mughey; tab kuch na hoga,
shraabi saara aalam,
keya uski nashilee aankhoyn ne hoga,
uske badan ke chuan se; pighlaa
har zazbaat mera hoga,
jis dum chumunga main uski peshaani,
chupaa; aaker mere pehloo mein mera mehtaab hoga,
poori dilon ke hoo; her khwahish,
armaan bus yehi, dono dilon mein jawaa hogaa....


--- 25 Apr'05

Mumkeen Nahi

Mumkeen hain ke main; tum ko bhool jaaon,
jindgi mein tera naam zuban per naa laaon,
kabhi saamne ho tu merey;
aur man kareeb se guzar jaaon.

magar kaise bhool jaaon,
teri zulfon ke saaye;
naa jaane kitne hasen khaawab,
jahan meri nazron ne paaye.

kaise bhool jaaon;
aankheyn teri gheel se gahri,
humaarey pyer ki naawo
umer bhar jis mein tairee.

kasie bhool jaaon,
teri woh muskaan,
aatey he hooton per jiske,
meet jaati thi saari thakaan,
aur aa jaata tha; dil ko mere karaar.

nahi ! ghoot kehtaa tha main,
mumkeen nahi tughko bhool paana,
mera, apni jindgi se
tera nishaan meetana.

such kehta hoon main,
aaj tu nahi; tera ehsaas toh mera hai,
tu batlaa kaise dikhlaaon; mere dil ka zakham abhi gehraa hain.


--- 02 Apr'05

Teri Aankheyn

tumhey ho na ho,
mughey toh ab bhi yaad hai
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar
tumse meri aankheyn.
huey ab baras; phir bhi legta,
jise meley ho hum kal perso,
mere dil mein kal ki yaad sa taaja,
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar,

tumse meri aankheyn.
badi haseen leg rehi thi
woh khoi khoi se ; teri aankheyn,
adhuri neend ki kumaar mein dobbi,
teri madhosh gulabhi aankheyn.
mughey toh ab bhi yaad hai
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar
tumse meri aankheyn.

dil pe woh bizli ka gernaa,
jab sharmaa ker jhuki thi; teri aankheyn,
aur ban ker kzaa; phir uthi thi aankheyn,
bina khanzer he dil per,
nashter chlaa gai thi, teer ke teri aankheyn.
mughey toh ab bhi yaad hai
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar
tumse meri aankheyn.

kehta hun such main,
bina kuch booley he; tere dl ka haal
byaan ker gai thi, teri aankheyn,
main toh khadaa tha saahil per,
tere payer ke saagar mein mughko;
dubaa gai; saagar se gahari teri aankheyn.
mughey toh ab bhi yaad hai
woh haseen manzar; mili thi jab pehli baar
tumse meri aankheyn.


--- 26 Mar'05